“Dil Se Bayaan: Hindi Maykhana SMS Collection”
Tumse duri ka ehsaas jab
satane laga,
tere saath guzra har lamha
yaad aney laga,
jabbhi bhulne ki koshish ki,
eh dost tu dil ke aur kareeb
aney laga.
Kisi ne dil ko is kadar choo
liya, ki hum kisi aur ko choo
na sake, hum toh chale they
dost banne, par woh toh dil ki
dhadkan bangaye.
Bole vo dosti, chup rahe woh
pyar, hasaye voh dosti,
rulaye woh pyar, phir bhi log
dosti chodkar kyu karte hai
pyar?
Dil ko aadat si hogayi hai chot
khane ki, bhigi palko ke sang
muskurane ki, kash anjaam
hum pehle se jaan jate,
toh koshish bhi naa karte dil
lagane ki.
Dua karte hai hum sar
jhukaye, ae dost tu apni
manzil ko paye, agar kabhi
teri raho mei andhera aye,
toh roshni ke liye khuda
humko jalaye.
Aasman humse naraaz hai,
taron ko humse dushwar hai,
woh humse jalte hai, kyunki
chand se behtar humare paas
tere jaisa yaar hai.
Jaan hai mujhko jindagi se
pyar , jaan ke liye kar du
kurban yari, jaan ke liye tod
du dosti tumhari, ab.. tumse
kya chupana, tumhi to ho jaan
hamari.
Har kinare ko kinara na
samjho,
har saathi ko apna sahara naa
samjho,
nazar nazar ka fark hota hai
yaaro,
har nazar ko pyar ka ishara
naa samjho.
Kisi mod pe akela naa
chodnaa,
armano se bhara dil kabhi naa
todnaa,
duniya begani banti hai toh
kya gam hai,
tamanna bus yeh hai ki,
aap humse kabhi muh na
modnaa.
Hume pata hai ap bahut busy
hain, jyada nahi par thode se
lazy hain mana ki post kerna
bahut mushkil hai, per mobile
pe sms kerna to bahut eazy
hai.
Naa chaho kisiko itna ki,
chahat tumhari majburi ban
jaye, chaho kisiko itna ki
tumhara pyar uske liye zaruri
banjaye.
Jagmag jagmag karta hai
taara sari duniya ko roshan
karta hai tara is taare se bhi
koi hai pyara jo is waqt padh
raha hai sms humara.
Khidki se deakha to raste pe
koi nahi tha, Khidki se dekha
to raste pe koi nahi tha,
Raste pe ja ke dekha to khidki
pe koi nahi tha.
Gham is kadar mila ghabraa k
p gaye, khushi thodi c mili
mila k p gaye, yun to na the
janam se pine k aadi, sharaab
ko tanha dekha to taras kha k
p gaye!
Jinki yaad hai dil me nishaani
ki tarah Woh to bhool gaye
hume kahani ki tarah.
5’5 jiski height ho,
Jeans jisco tight ho,
Chehra jiska bright ho,
Weight mein thodi light ho,
Umar mein difference slight
ho, Thodi see who quite ho,
Aisi apni wife ho.
Sadak per sab kahe kya cute
ho, Bhid mein sab kahe side
ho, side ho,
India ki paidish ho,
Sas ki seva jiski khwahish ho,
Aisi apni wife ho.
Padosi jab baat kare to hath
mein knife ho,
Dinner candle light ho,
Dono mein kabhi na fight ho,
Milane ka baad dil delight ho,
Hey prabhu teri archana uski
life ho, Yeh kavita padhke sab
kahe “Guru, Tum Right Ho”,
Kaash yeh concept 0.0001
percent right ho,
Agar Aisi apni wife ho,
To kya hasin life ho,
Har kisi ki yehi farmaish ho,
Kudrat ki bhi aajmaish ho,
Khuda ke software mein bhi
bug ki na gunjaish ho,
Ay kaash, kahin to ek aisi
paidaish ho,
Aisi apni wife ho, Aisi apni
wife ho.
Har baar dil se yeh paigaam
aaye,
JubaaN kholu to tera hi naam
aaye
Tum hi kyon bhaye dil ko kya
malum,
Jab nazro ke saamne haseen
tamaam aaye.
Waqt guzarta raha par sanse
thami si thi,
muskura rahe the hum, par
ankho mein namisi thi,
sath hamare ye jahan tha sara,
par na jane kyun kisi ki kami
si thi.