“Hindi Maykhana SMS”
Har desh ki ek sarhad hoti
hain, Har bachche ki bhi ek
zid hoti hain…
Aur kitna intzaar karwaoge,
kanjoosi ki bhi ek had hoti hai.
Dil ke arman ansuo me beh
gaye,
Hum gali me the gali me reh
gaye
Light chali gayi,
Jo baat unse kehni thi wo unki
mummy se keh gaye.
Mera dil kahta tha telephone
karoon, Mera dil kahta tha
telephone karoon,
Magar ambakhto ne onection
hi kat diya.
Jab tum zulphain lehra logi to
shaam ho jayegi,
Agar tum sar mundwa logi to
savera ho jayega.
Zindagi ki raah mushkil hai to
kya hua. Thora sa tum chalo,
thora sa main…phir Riksha
kar lenge.
Hum aise aashik hain jo gulab
ko kamal bana denge, Uski
har adaa par ghazal bana
denge. Agar wo aa jayegi
mere jindgi me, To Reliance ki
kasam Delhi me bhi Tajmahal
bana denge..
Bakre ne bakri ko seeng
maara, bakre ne bakri ko
seeng maara…abe phir kiya
hua?… Bakri ne bhi bakre ko
seeng maar diya.
Wo hamari zindagi main
kuchh is tarah se aaye.
Wo hamari zindagi main
kuch is tarah se aaye.
Jaise hare bhare khet main
saand ghus aaye.
Hum unki gali se gujre, khidki
khuli thi per afsoos unki jagah
unki Amma khadi thi.
Dharti se aasmaa tak, aasmaa
se dharti tak Dharti se aasmaa
tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa
se dharti tak
Are bhai, aage bhi to bolo…
Hawa hi hawa hai.
Jab tak tu apne dil ki baat
mujhe samjhayegi
Jab tak tu apne dil ki baat.
mujhe samjhayegi,
meri shaadi kahin aur ho
jayegi.
E dost tu bhi likha kar shayari,
Meri tarah tera bhi naam ho
jaega…Jab tujh par bhi
padenge ANDE, TAMATAR,
Shaam ke sabji ka intzam ho
jaega.
Tum har raat mere khwabon
mein aao, Tum har raat mujhe
yuunhi satao, Melody khao
khud jaan jao.
Door se dekha to kuchh dikha
nahin.
Dooor se dekhaaa to kuchh
dikha nahin.
Paas jake dekhaa to kuchh tha
hi nahin.
Dharti so rahi hai, Aasman so
raha hai
Dharti so rahi hai,Aasman so
raha hai
Nonsense! Yeh sab kya ho
raha hai?
Main hu yahan, tu hai wahan
Main hu yahan, tu hai wahan
Lifebouy hai jahan,
tandurusti hai wahan.
Aaj! aasmaan mein taare aise
chamak rahe hain
Aaj aasmaan mein taare aise
chamak rahe hain….
JAISE KAL CHAMAK RAHE
THE !!!
Lal diwar par chune se likha
tha ghalib ne
lal diwar par chune se likha
tha ghalib ne…
yahan likhana mana hai.
Khuda kare hasino ke bap
mar jayen
Bahana ho maut ka aur ham
unke ghar jayen.
Kabootar ke do par (wah
wah) kabootar ke do par….
ek idhar ek udhar.
Ja raha tha jindagi ki raah me
galib ki mod aaya (bahut
khoob) to ja raha tha jindagi
ki raah me galib ki mod aaya
aur mein mud gaya.
Aasman mein char tare
aasman mein char tare
do tumhare do hamare.
Ab samjha tere rukhsaar per
is til ka matlab Husn-edarbaar par darbaan,
sorry, machchhar bitha rakha
hai.
Gali mein doolhe ka chera
buland tha
Jab sehra utha ke dekha…ek
bazaar band tha.
Teri julfen yu lehra rahi hain…
Teri julfey yu lehra rahi hain…
Jaise koi bhains poonch hila
rahi hai.
Kaash jo tere chehre pe,
chechak ke daag hote,
Chand to tu hai hi, sitare bhi
saath hote!
Teri jheel si aankho mai doob
jaane ko dil chahta hai
Magar kya karu, tera
chashma beech main aata hai!
Chhup gaye saare najaare,
oye kya baat ho gayi,
Dosto, abhi pata kar ke aata
hoo kya baat ho gayi!