“Ishq Mein Khumari: Maykhana Shayari”

"Ishq Mein Khumari: Maykhana Shayari"

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Tufan main kashti ko sahare
bhi milte hai,
jahan main logo ko sahare bhi
milte hai,
duniya main sabse pyari hai
zindagi,
kuch log zindagi se pyare bhi
milte hai.

Aap ko khone ka har pal dar
laga rehta hai,
jab ki aap ko paya hi nahi,
tum bin itna tanha hoon ki,
mere saath mera saaya bhi
nahi.

Wo ruthe is kadar ki manaya
naa gaya,
Durr itne ho gaye ki paas
bulaya naa gaya,
Dil to dil tha, samundar ka
saahil nahi,
Likh diya jo naam to phir
mitaya naa gaya.

Kabhi tum bhi humse baat kar
liya karo
milne ki fariyad kar liya karo
ek hum hai jo har baar
shuruwat karte hai
kabhi tum bhi hume humse
pehle yaad kar liya karo.

Phir aansu ke kuch fasane
nikle,
Maikhane se sharab ke
paimane nikle,
Jo dil ka haal hamara samajh
hi na paye,
Kyu unko aapna zakhm
dikhane nikle.

Kashti behti hai kinaare ki
talaash main,
Log milte hai pyar ki aas
mein,
Hum roz milte nahin aap se
magar,
Waqt bitate hai aap ki yaad
mein.

Koi acchi si saza do mujh ko,
chalo aisa karo bhula do mujh
ko,
tum se bichru to maut aa
jaaye,
dil ki gehraiyo se dua do
mujhko!

Paane se khone ka maza kuch
aur hai
band aankhon se dekhne ka
maza kuch aur hai
aansu bane lafz aur lafz gazal
teri yaadon k saath jine ka
maza kuch aur hai.

Ehsaas bahut hoga jab chod k
jaaoge,
Royenge bahut magar aansu
nahi aayenge,
Jab sath na de koi to AWAZZ
hume dena,
Aasma par bhi honge to laut k
aayenge.

Aankhon ki awaz kuch aur
hoti hai, Ansuo ki aag kuch
aur hoti hai, Kaun chahta hai
apno se bichadna,
Majburion ki baat kuch aur
hoti hai.

Tu yaad kar ya na kar,
Tere yaad karne ka gum nahi,
Tere na yaad karne ki ada ,
Tere yaad karne se kam nahi.

Is duniya main dost kam
milenge
Duniya main gham hi gham
milenge
Jahan duniya nazar pher legi
Uss mor per dost tumhain
hum milenge.

Darte hain aag sae Kahin jal
na jaye
Darte hain khuwab say Kahin
toot na jaye
Sub se jiyada darte hain aap se
Kahin aap humain bhool na
jaye.

Kanton se mujhe nafrat thi
Phoolon ko maine toda
Jis per kiya tha bharosha
Usne hi mujhe tanha choda.

Phoolon ko tod lete hain
Kanton ko chod dete hain
Bade sangdil hain log
Talukkat bana kar tod dete
hain.

Dil ke baat dil mein na rahe
ankhon ke khawab ankhon
mein na rahe Dil ki baat isi
liye keh di aap ko… ke galti se
aap kisi aur ke dil mein na
rahe.

Kashish honi chahiye yaad
karne ki, lamhe to apne aap
mil jate hai. Waqt hona chaiye
saath guzarne ke liye, bahane
to apne aap mil jate hai.

Jab bhi khayal aaya tera aaya,
ankhein band ki to khwab
tera aaya, Socha yaad kar loon
khuda ko pal do pal, Honth
khule toh naam tera aaya.

Taraste they jo milne ko
humse kabhi, aaj woh kyun
mere saaye se katrate hain.
Hum bhi wahi hain, dil bhi
wahi hai, na jane kyu log
badal jate hain.

Paigame mohabbat laya hai
saawan, jhum uthe hai dharti
aur gagan, tu paas nahi to kya
gam, yaadon ka hai mausam!

Hakikat na pooch mere
fasaane ki, tere jaate hi badal
gayi nazar jamaane ki,
log poochte hai main khush
kyu nahi, kya kahu meri to
aadat thi tere sang
muskuraane ki!

AB TO DIL MAIN MEHEKTAY
HUYE JAZBAT NAHI MILTE
UJDEY HUYE GULSHAN MAIN
PARINDEY NAHI MILTE
KYU CHUPKEY SE UTAR JATEY
HAI WO LOG DIL MAIN
JIN LONGON SE HUMARI
KISMAT K SITAREY
NAHI MILTE